Faraz Ahmed New Poetry Collection 2
kis boojh se jism toot-ta hai
itna to kara safar nahi tha
woh chaar qadam ka faasla kya
phir raah se be khabar nahi tha
lekin yeh thakan yeh larkharaht
yeh haal to Umar bhar nahi tha
aaghaz safar mein jab chalay thay
kab hum ne koi diya jalaya
kab ehad wafa ki baat ki thi
kab hum ne koi fraib khaya
woh shaam woh chandni woh khushbu
manzil ka kisay khayaal aaya
to mehv sukhan thi mujh se lekin
mein soch ke jaal ban raha tha
mere liye zindagi tarap thi
tairay liye gham bhi qehqeha tha
ab tujh se bhichar ke sochta hon
kuch to ne kaha tha! kya kaha tha
0 Comments