Love Or Romantic Poetry

 kon si baat hai jo is mein nahi

is ko dekhe meri nazar se koi

----------------------------------------------

tairay waday ko kabhi jhoot nahi samjhun ga

aaj ki raat bhi darwaaza khula rakhon ga

-----------------------------------------

seenay mein jalan aankhon mein toofan sa kyun hai

is shehar mein har shakhs pareshan sa kyun hai


dil hai to dhadakne ka bahana koi dhoonday

pathar ki terhan be hiss o be jaan sa kyun hai


tanhai ki yeh kon si manzil hai رفیقو

taa had nazar aik biyabaan sa kyun hai


hum naay to koi baat nikaali nahi gham ki

woh zood pasheman pasheman sa kyun hai


kya koi nai baat nazar aati hai hum mein

aaina hamein dekh ke heran sa kyun hai

--------------------------------------------

jahan mein honay ko ae dost yun to sab hoga

tre labon pay marey lab hon aisa kab hoga

--------------------------------

khush nazar khush jamal bas kar bas

tujh ko mera khayaal bas kar bas ?


meri qismat mein to udasi hai

kab tujhe hai malaal bas kar bas


kon day ga mohabbaton ke jawab

aisay waisay sawal bas kar bas


mere jaisi fasurda shayar se

was wasay sab nikaal bas kar bas


yeh bhi teri darogh goi hai

mein hon tujh par halal bas kar bas


raabtey kab karo gi ae Wishma

mujh se –apne bahaal bas kar bas

----------------------------------------------

mein ishhq o mohabbat ki khilari to nahi thi

mein teri kabhi raaj kmari to nahi thi


bakhshay hain mujhe too ny hi yeh jungle o sehraa

mein gardish-e halaat ki maari to nahi thi


thi mere muqaddar ke andheron mein sitam gir

har jeet tre pyar mein haari to nahi thi


jo wehshat o dehshat ki tarafdar hui hai

yeh qoum mohabbat ki shikari to nahi thi


guzray they jahan apni jawani ke mahinay

maloom sun-hwa bastii hamari to nahi thi


aankhon mein qayamat ke manazair to they Wishma

honton pay maray aah o zaari to nahi thi

---------------------------------------------


Post a Comment

0 Comments